PYAR ME DARD

Sacchi mohbbat bezuban hoti hai
Ye to aankho se bayan hoti hai
Pyar me dard bhi mile to kya ghabrana
dard me hi to apne aur parayon ki pehchan hoti hai

Jal Jayenge Tere Pyar Me Agar Tu Kahe,
Mar Jayenge Tere Naam Par Agar Tu Kahe,
Doli Me Bitha Denge Gairo Ke Gar Tu Kahe,
Lekin Teri Doli Ke Sath Meri Arthi Niklegi,
Chahe To Kahe Ya Na Kahe

Nibhana Hai Pyar Sans Lene Se Pahle
Na Ho Yaqeen To Imtihan Koi Le Le
Hum Sath Honge Teri Har Har Mushkil Me
Ye Jaan Niklegi Tere Aansu Nikalne Se Pahle

...........................................................................................................................................

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane

Dil Tuta Hai Unke Judai Ke Ehsaas Se,
Dil Ruta Hai Unke Paas Na Hone Ke Ehsaas Se,

Hum Toh Akele The Aur Akele Hi Rehgaye Hai,
Yeh Baat Unka Nadan Dil Kya Jane

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane

Zindagi Ek Kabrastan Ban Gayi Hai,
Jisme Pyar Dafnaya Jata Hai,

Judaai Ka Fateha Pada Jata Hai,
Yeh Baat Unka Zinda Dil Kya Jane

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane

Rooh Behchan Hai Unke Dhoor Jane Se,
Log Behchan Hai Unke Paas Ane Se,

Unhone Bhi Logon Ka Ehsaas Kia Humari Rooh Ka Nahin,
Kitni Taklif Hui Hai Hume Iss Fesle Se Yeh Baat Unka Beimaan Dil Kya Jane

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane

Zindagi Ashkon Ki Tarha Bikhar Gayi,
Rooh Judai Ki Aag Main Jhal Gayi,

Dil Aansuon Ke Dariya Man Dhoob Gaya,
Yeh Saab Unka Adhura Dil Kya Jane

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane

Maut Bhi Nahin Ati Hai Ab,
Ansuon Ne Bhi Saath Chodd Dia Hai,

Adhure Hi Reh Gaye Hai Hum Unke Siva,
Yeh Baat Unka Bika Hua Dil Kya Jane

Hum Unse Kitna Pyar Karte Hai Yeh Woh Kya Jane,
Pyar Ka Sahi Matlab Ek Dil Ka Katil Kya Jane


...........................................................................................................................

Agar Dur Jana Hi Tha To
Kya Jarurat Thi Pahle Pass Aane Kii …

Agar Hume Rulana Hi Tha
To Kya Jarurat Thi Pahle Hasane Kii …

Agar Is Dil Se Khelna Hi Tha
To Kya Jarurat Thi Inme Jajbat Jagane Kii…

Agar Sare Wo Sapne Todne Hi The
To Kya Jarurat Thi Pahle Inhe Dikhane Kii…

Agar Hume Na Hi Tha
To Kya Jarurat Thi Pahle Thamne Kii …

Agar Bewafai Hi Karni Thi
To Kya Jarurat Thi Hume Wafa Sikhane Kii …

Agar Sab Vaade Jhute Hi The
To Kya Jarurat Thi Inpe Wishwas Dilane Kii …

Agar Pyar Nibhana Hi Na Tha
To Kya Jarurat Thi Pyar Karna Sikhane Kii …

Agar God Ke Pass Jana Hi Tha
To Kya Jarurat Thi …… U Akele Hi Jane Kii …


................................................................................................................................................


Unki Ankhon Main Humare Liye Pyar Dekhne Ke Liye Taras Gaye Hai Hum,
Unka Saath Hote Hue Bhi Akele Pad Gaye Hai Hum

Kab Woh Hume Apne Seene Se Lagayenge,
Kab Woh Hume Dil Se Apnayenge

Yeh Saab Khwab Hi Reh Jayega Shayad,
Unke Kiye Hue Juthe Vaade Pyar Ke, Unko Yaad Dilana Chahte Nahin Hai Hum

Unki Ankhon Main Humare Liye Pyar Dekhne Ke Liye Taras Gaye Hai Hum,
Unka Saath Hote Hue Bhi Akele Pad Gaye Hai Hum

Kab Saath Baith Ke Woh Do Bol Pyar Ke Bolegi,
Kab Haath Than Ke Hume Apna Batayeghi,

Unke Paas Toh Humare Liye Waqt Hi Nahin Hai,
Bulane Par Bhi Nahin Ati Hai Woh Isiliye Ab Unhe Bulate Hi Nahin Hai Hum

Unki Ankhon Main Humare Liye Pyar Dekhne Ke Liye Taras Gaye Hai Hum,
Unka Saath Hote Hue Bhi Akele Pad Gaye Hai Hum

Dhuri Par Rehna Lagta Hai Unhe Pasand Hai,
Humare Aansu Dekhna Lagta Hai Unhe Pasand Hai,

Unke Liye Toh Hum Humara Dil Phad Ke Rakh Denge,
Par Unki Judai Ke Ghum Main Ashkon Ki Tarha Bikhar Gaye Hai Hu

Unki Ankhon Main Humare Liye Pyar Dekhne Ke Liye Taras Gaye Hai Hum,
Unka Saath Hote Hue Bhi Akele Pad Gaye Hai Hum

Lagta Hai Unko Koi Aur Pasand Agaya Hai,
Unke Dil Ke Ghar Ki Chabi Kisi Aur Ko Milgayi Hai,

Unke Dil Pe Raaj Kiya Karte The Hum,
Par Ab Humare Naseeb Main Itna Hi Hai Ke Unke Dil Ke Chokidari Karte Hai Hum

Unki Ankhon Main Humare Liye Pyar Dekhne Ke Liye Taras Gaye Hai Hum,
Unka Saath Hote Hue Bhi Akele Pad Gaye Hai Hum


............................................................................................................................................................

Is Be-Wafa Pyar Ki Raah Main
Ho Barbaad Kitne Mahboob Gaye

Zindagi Bhar Saath Denge Jhute Waade
Jhute Kashmen Kar Kaya Khoob Gaye

Is Dil Ko Samjhaya Humne Bahut Ki Mat Kar
Pyar Kisi Ko Itna Royega Ek Din

Unhi Barbaad Logo Main Ek Hum Bhi The Jo
Sahil Main Khare The Fir Bhi Doob Gaye


...............................................................................................................................................


The Majhdhaar Main Ham Besahare Bah Gaye
Kinare Jab Lagey To Kinare Bah Gaye

Ankhon Ne Hasraton Ko Dikhayi Raah-E-Gardishan
Ashkon Main Doobey Khwaab Saare Bah Gaye

Aaj Bhi Rote Hain Unhi Barishon Main Ham
Jinmain Bhiigte Hasin Nazare Bah Gaye

Tere Wafaa Ke Waade Sab Paaniyon Se The
Kab Na Jaane Tod Baandh Saare Bah Gaye

Piine Ka Dil Pe Mere Kab Tha Koi Asar
Kab Dard-O-Gham Jaam-O-Khum Ke Sahaare Bah Gaye

Dil Main Ik Toofan Kya Uthaa Ghaafil
Sab Dar-O-Diwar Gali-O-Chaubare Bah Gaye


.............................................................................................................................................


Yaad Aati Hai To Yaadon Ko Satane Do
Pyas Aankhon Ki Ashkon Se Boojhane Do

Kyon Saje Hain Palkon Mein Tumhare Moti
Ban Ker Aansoo Aankhon Se Inhen Beh Jaane Do

Uter Jayen Mere Dil Mein Tumhare Dard-O-Gham Saare
Mujh Ko Mohabbat Ke Imtehaan Se Guzar Jaane Do

Din To Beet Gaya Ab Raat Bhi Guzar Jayegi
Mujhe Yaadon Ki Baanhon Mein Hi So Jane Do

............................................................................................................................................................


Pyar Ne Humko Andha Bana Diya ,
Doston Ko Bhi Humne Pyar Ke Liye Thukra Diya,
Badle Mein Mili Humein Bas Tanhai,
Dost To Mere Janaze Mein Phir Bhi Aaye
Par Voh To Humein Akhri Alvida Kehne Bhi Nahi Aaye


...............................................................................................................................................................


Wafa Ki Thi Umeed Humko Be Wafai Mili
Mahfil Main Baithkar Bhi Tanhai Mili

Humne Samjha Wo Saath Hain Hamare
Jab Mur Ke Dekha To Parchai Mili

Unka Kasoor Nahi Ye Mere Dosht
Ye To Kishmat Hi Humko Harjai Mili


..........................................................................................................................................................


Jitna Khuda Par Nahi Utna Tujhpe Vishwas Hai,
Ho Gaya Tu Kisi Aur Ka To Kya,
Dil Ko Ab Bhi Teri Hi Aas Hai,
Saare Jahan Ki May Hai Mere Kadmon Me
Phir Bhi Na Jane Dilko Kyon Teri Hi Pyas Hai.


............................................................................................................................................................


Kabhi Dekha Hi Nahi Haath Ki Lakeeron Ko
In Main Unki Bhi Tasveer Chipi Thi

Jahan Bhi Ghumayi Nazar Apni
Tanhayi Hi Mujhe Dhikhi Thi

Koi Wafa Karega Bhi To Kaise Hum Se
Kyoun Ki Kishmat Main Hi Be Wafai Likhi Thi


.....................................................................................................................................................

Phir Raha Huun Galiyon Main Aaj, Kii Bas Teri Talash Hai…
Dhunda Bahaar Kaliyon Main Aaj, Kii Bas Teri Talash Hai…

Aaa Rahi Hoo Mere Karib Utna, Jitna Mujhse Door Jati Ho…
Chand Hoo Tum Yei Janta Hun, Ek Bar Dekhne Kii Aas Hai…

Na Shikwa Na Koi Shikayat Hai Tere Noor-E-Aaftaab Sei…
Sehra Hai Mere Dil Kii Jameen, Jise To Bhigne Ki Pyas Hai…

Kya Duniya Kya Hai Nazare, Ki Mujhe Apni Khabar Nahi…
Nazar Teri Rah Ko Takti Bas, Tu Hi To Mere Liye Khas Hai…

Na Jana Mere Jamaal-E-Rukh*Pe, Tadap Dikha Nahi Sakta…
Rakhta Hun Dil Main Chhupa, Bade Narm Mere Ehsaas Hai…

*Chehre Ki Sundarta, Beauty Of Face…
Tujhe Aana Hi Hoga Sunkar Meri Awaaz-E-“saccha_pyar”
Jawan Hai Umeeden Meri, Jab Talak Jigar Main Sans Hai…

Na Hai Tamnna Koi Dil Mai, Na Kisi Ka Khauf Hai Jahan Ka…
Hai Khuda Hakim Mera, Jeeneko Teri Yaden Mere Paas Hai…

Phirunga Phir In Galiyon Main Aaj, Ki Bas Teri Talash Hai…
Dhundunga Bahar Kaliyon Mai Aaj, Ki Bas Teri Talash Hai

..............................................................................................................................................................

No comments: